ab ke bikhra to main yakja nahin ho paaoonga
tere haathon se bhi waisa nahin ho paaoonga
mujh ko beemaar karegi tiri aadat ik din
aur phir tujh se bhi achha nahin ho paaoonga
ye to mumkin hai ki ho jaaun tira khair-andesh
haan magar is se ziyaada nahin ho paaoonga
ab meri zaat mein bas ek ki gunjaish hai
main hua dhoop to saaya nahin ho paaoonga
yun to mushkil hi bahut hai mera haath aana aur
haath aaya to gawara nahin ho paaoonga
tu badi der se aaya mujhe zinda karne
ab nami pa ke bhi sabza nahin ho paaoonga
mujh mein itni nahin taaseer masihaai ki
zakham bhar saka hoon eesa nahin ho paaoonga
in dinon aql ki chalti hai hukoomat dil pe
main jo chaahoon bhi tumhaara nahin ho paaoonga
itna aabaad hai tujh se mere andar ka shehar
tujh se bichhda bhi to sehra nahin ho paaoonga
अब के बिखरा तो मैं यकजा नहीं हो पाऊँगा
तेरे हाथों से भी वैसा नहीं हो पाऊँगा
मुझ को बीमार करेगी तिरी आदत इक दिन
और फिर तुझ से भी अच्छा नहीं हो पाऊँगा
ये तो मुमकिन है कि हो जाऊँ तिरा ख़ैर-अंदेश
हाँ मगर इस से ज़ियादा नहीं हो पाऊँगा
अब मिरी ज़ात में बस एक की गुंजाइश है
मैं हुआ धूप तो साया नहीं हो पाऊँगा
यूँ तो मुश्किल ही बहुत है मिरा हाथ आना और
हाथ आया तो गवारा नहीं हो पाऊँगा
तू बड़ी देर से आया मुझे ज़िंदा करने
अब नमी पा के भी सब्ज़ा नहीं हो पाऊँगा
मुझ में इतनी नहीं तासीर मसीहाई की
ज़ख़्म भर सकता हूँ ईसा नहीं हो पाऊँगा
इन दिनों अक़्ल की चलती है हुकूमत दिल पे
मैं जो चाहूँ भी तुम्हारा नहीं हो पाऊँगा
इतना आबाद है तुझ से मिरे अंदर का शहर
तुझ से बिछड़ा भी तो सहरा नहीं हो पाऊँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahul Jha
our suggestion based on Rahul Jha
As you were reading Shahr Shayari Shayari