jab chhaaye kahi saawan ki ghatta ro-ro ke na karna yaad mujhe | जब छाए कहीं सावन की घटा, रो-रो के न करना याद मुझे

  - Raja Mehdi Ali Khan

jab chhaaye kahi saawan ki ghatta ro-ro ke na karna yaad mujhe
ai jaane tamannaa gham tera kar na de kahi barbaad mujhe

jo mast bahaarein aayi theen vo rooth gaeein us gulshan se
jis gulshan mein do din ke liye qismat ne kiya azaad mujhe

vo raahi hoon palbhar ke liye jo zulf ke saaye mein thehra
ab le ke chal door kahi ai ishq mere bedaag mujhe

ai yaad-e-sanam ab laut bhi ja tu aa gai kyun samjhaane ko
mujhko mera gham shaat hai tu aur na kar naushaat mujhe

जब छाए कहीं सावन की घटा, रो-रो के न करना याद मुझे
ऐ जाने तमन्ना ग़म तेरा, कर न दे कहीं बरबाद मुझे

जो मस्त बहारें आई थीं, वो रूठ गईं उस गुलशन से
जिस गुलशन में दो दिन के लिए, क़िस्मत ने किया आज़ाद मुझे

वो राही हूँ पलभर के लिए, जो ज़ुल्फ़ के साए में ठहरा
अब ले के चल दूर कहीं, ऐ इश्क़ मेरे बेदाग मुझे

ऐ याद-ए-सनम अब लौट भी जा, तू आ गई क्यूँ समझाने को
मुझको मेरा ग़म शात है, तू और न कर नौशात मुझे

  - Raja Mehdi Ali Khan

Broken Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raja Mehdi Ali Khan

As you were reading Shayari by Raja Mehdi Ali Khan

Similar Writers

our suggestion based on Raja Mehdi Ali Khan

Similar Moods

As you were reading Broken Shayari Shayari