kahaan kisi ki himayat mein maara jaaunga
main gham-shanaas muravvat mein maara jaaunga
main maara jaaunga pehle kisi fasaane mein
phir is ke b'ad haqeeqat mein maara jaaunga
mera ye khoon mere dushmanon ke sar hoga
main doston ki hiraasat mein maara jaaunga
main chup raha to mujhe maar dega mera zameer
gawaahi di to adaalat mein maara jaaunga
hiss mein baant rahe hain mujhe mere ahbaab
main kaarobaar-e-shiraakat mein maara jaaunga
bas ek sulh ki soorat mein jaan-bakhshi hai
kisi bhi doosri soorat mein maara jaaunga
nahin maroonga kisi jang mein ye soch liya
main ab ki baar mohabbat mein maara jaaunga
कहाँ किसी की हिमायत में मारा जाऊँगा
मैं ग़म-शनास मुरव्वत में मारा जाऊँगा
मैं मारा जाऊँगा पहले किसी फ़साने में
फिर इस के ब'अद हक़ीक़त में मारा जाऊँगा
मिरा ये ख़ून मिरे दुश्मनों के सर होगा
मैं दोस्तों की हिरासत में मारा जाऊँगा
मैं चुप रहा तो मुझे मार देगा मेरा ज़मीर
गवाही दी तो अदालत में मारा जाऊँगा
हिसस में बाँट रहे हैं मुझे मिरे अहबाब
मैं कारोबार-ए-शिराकत में मारा जाऊँगा
बस एक सुल्ह की सूरत में जान-बख़्शी है
किसी भी दूसरी सूरत में मारा जाऊँगा
नहीं मरूँगा किसी जंग में ये सोच लिया
मैं अब की बार मोहब्बत में मारा जाऊँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rana Saeed Doshi
our suggestion based on Rana Saeed Doshi
As you were reading War Shayari Shayari