dil ko rah rah ke ye andeshe daraane lag jaayen
waapsi mein use mumkin hai zamaane lag jaayen
so nahin paaye to sone ki duaaein maange
neend aane lage to khud ko jagaane lag jaayen
us ko dhunden use ik baat bataane ke liye
jab vo mil jaaye to vo baat chhupaane lag jaayen
har december isee vehshat mein guzaara ki kahi
phir se aankhon mein tire khwaab na aane lag jaayen
itni taakheer se mat mil ki hamein sabr aa jaaye
aur phir ham bhi nazar tujh se churaane lag jaayen
jeet jaayengi hawaaein ye khabar hote hue
tez aandhi mein charaagon ko jalane lag jaayen
tum mere shehar mein aaye to mujhe aisa laga
jun tahee-daamano ke haath khazaane lag jaayen
दिल को रह रह के ये अंदेशे डराने लग जाएँ
वापसी में उसे मुमकिन है ज़माने लग जाएँ
सो नहीं पाएँ तो सोने की दुआएँ माँगें
नींद आने लगे तो ख़ुद को जगाने लग जाएँ
उस को ढूँडें उसे इक बात बताने के लिए
जब वो मिल जाए तो वो बात छुपाने लग जाएँ
हर दिसम्बर इसी वहशत में गुज़ारा कि कहीं
फिर से आँखों में तिरे ख़्वाब न आने लग जाएँ
इतनी ताख़ीर से मत मिल कि हमें सब्र आ जाए
और फिर हम भी नज़र तुझ से चुराने लग जाएँ
जीत जाएँगी हवाएँ ये ख़बर होते हुए
तेज़ आँधी में चराग़ों को जलाने लग जाएँ
तुम मिरे शहर में आए तो मुझे ऐसा लगा
जूँ तही-दामनों के हाथ ख़ज़ाने लग जाएँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rehana Roohi
our suggestion based on Rehana Roohi
As you were reading Khwab Shayari Shayari