sar-b-sar yaar ki marzi pe fida ho jaana
kya gazab kaam hai raazi-b-raza ho jaana
band aankhon vo chale aayein to vaa ho jaana
aur yun phoot ke rona ki fana ho jaana
ishq mein kaam nahin zor-zabardasti ka
jab bhi tum chaaho juda hona juda ho jaana
teri jaanib hai b-tadreej tarqqi meri
mere hone ki hai meraaj tira ho jaana
tere aane ki basharat ke siva kuchh bhi nahin
baagh mein sukhe darakhton ka haraa ho jaana
ik nishaani hai kisi shehar ki barbaadi ki
naarwa baat ka yak-lakht rawa ho jaana
tang aa jaaun mohabbat se to gahe gahe
achha lagta hai mujhe tera khafa ho jaana
si diye jaayen mere hont to ai jaan-e-ghazal
aisa karna meri aankhon se ada ho jaana
be-niyaazi bhi wahi aur ta'alluq bhi wahi
tumhein aata hai mohabbat mein khuda ho jaana
azdaha ban ke rag-o-pai ko jakad leta hai
itna aasaan nahin gham se rihaa ho jaana
achhe achhon pe bure din hain lihaaza faaris
achhe hone se to achha hai bura ho jaana
सर-ब-सर यार की मर्ज़ी पे फ़िदा हो जाना
क्या ग़ज़ब काम है राज़ी-ब-रज़ा हो जाना
बंद आँखो वो चले आएँ तो वा हो जाना
और यूँ फूट के रोना कि फ़ना हो जाना
इश्क़ में काम नहीं ज़ोर-ज़बरदस्ती का
जब भी तुम चाहो जुदा होना जुदा हो जाना
तेरी जानिब है ब-तदरीज तरक़्क़ी मेरी
मेरे होने की है मेराज तिरा हो जाना
तेरे आने की बशारत के सिवा कुछ भी नहीं
बाग़ में सूखे दरख़्तों का हरा हो जाना
इक निशानी है किसी शहर की बर्बादी की
नारवा बात का यक-लख़्त रवा हो जाना
तंग आ जाऊँ मोहब्बत से तो गाहे गाहे
अच्छा लगता है मुझे तेरा ख़फ़ा हो जाना
सी दिए जाएँ मिरे होंट तो ऐ जान-ए-ग़ज़ल
ऐसा करना मिरी आँखों से अदा हो जाना
बे-नियाज़ी भी वही और तअ'ल्लुक़ भी वही
तुम्हें आता है मोहब्बत में ख़ुदा हो जाना
अज़दहा बन के रग-ओ-पै को जकड़ लेता है
इतना आसान नहीं ग़म से रिहा हो जाना
अच्छे अच्छों पे बुरे दिन हैं लिहाज़ा 'फ़ारिस'
अच्छे होने से तो अच्छा है बुरा हो जाना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rehman Faris
our suggestion based on Rehman Faris
As you were reading Udas Shayari Shayari