bemaut jaan lega ye jitna ajeeb hai | बेमौत जान लेगा ये जितना अजीब है

  - Ruqayyah Maalik

bemaut jaan lega ye jitna ajeeb hai
dukh jis qadar shadeed hai utna ajeeb hai

koi gali kahi nahi raah-e-firaar ki
ya rab tere zehaan ka naksha ajeeb hai

us dil me bas rahe hai kai log ek saath
ke har aadmi ka chaand par jaana ajeeb hai

ik to vo dil dukhaata hai din mein hazaar baar
oopar se khush bhi rehta hai kitna ajeeb hai

ai shakhs kaaynaat mein vo sab tumhaare naam
jo kuchh jahaan pe jitna ajeeb hai

बेमौत जान लेगा ये जितना अजीब है
दुख जिस क़दर शदीद है उतना अजीब है

कोई गली कहीं नही राह-ए-फ़रार की
या रब तेरे ज़हान का नक्शा अजीब है

उस दिल मे बस रहे है कई लोग एक साथ
के हर आदमी का चाँद पर जाना अजीब है

इक तो वो दिल दुखाता है दिन में हज़ार बार
ऊपर से ख़ुश भी रहता है, कितना अजीब है

ऐ शख़्स कायनात में वो सब तुम्हारे नाम
जो कुछ जहाँ पे जितना अजीब है

  - Ruqayyah Maalik

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ruqayyah Maalik

As you were reading Shayari by Ruqayyah Maalik

Similar Writers

our suggestion based on Ruqayyah Maalik

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari