ajnabi | "अजनबी" - Sabir Dutt

ajnabi


ajnabi rahne de mujhko mujhe apna na bana
mein tiri maang sitaaron se nahin bhar saktaa
tere daaman ko bahaaron se nahin bhar saktaa
meri be-rang fazaaon mein kahaan shaam-o-sehar
mere tareek gharaunde mein kahaan tera guzar
mere sehra se gulistaanon kii ummeed na kar
ujadi duniya se shabistaanon kii ummeed na kar
ajnabi rahne de mujhko mujhe apna na bana
meri khaatir ye mahal aur ye mehraab na chhod
khwaab-gaahon ke masarrat se bhare khwaab na chhod
raushni chhod ke dar aa na siyah-khaane mein
sham'a raushan ho bhala kyun kisi veeraane mein
main tujhe koii haseen taaj nahin de saktaa
kal to kal hai main tujhe aaj nahin de saktaa
ajnabi rahne de mujhko mujhe apna na bana

"अजनबी"


अजनबी रहने दे मुझको मुझे अपना न बना
में तिरी माँग सितारों से नहीं भर सकता
तेरे दामन को बहारों से नहीं भर सकता
मेरी बे-रंग फ़ज़ाओं में कहाँ शाम-ओ-सहर
मेरे तारीक घरौंदे में कहाँ तेरा गुज़र
मेरे सहरा से गुलिस्तानों की उम्मीद न कर
उजड़ी दुनिया से शबिस्तानों की उम्मीद न कर
अजनबी रहने दे मुझको मुझे अपना न बना
मेरी ख़ातिर ये महल और ये मेहराब न छोड़
ख़्वाब-गाहों के मसर्रत से भरे ख़्वाब न छोड़
रौशनी छोड़ के दर आ न सियह-ख़ाने में
शम्अ रौशन हो भला क्यूँ किसी वीराने में
मैं तुझे कोई हसीं ताज नहीं दे सकता
कल तो कल है मैं तुझे आज नहीं दे सकता
अजनबी रहने दे मुझको मुझे अपना न बना

- Sabir Dutt
0 Likes

More by Sabir Dutt

As you were reading Shayari by Sabir Dutt

Similar Writers

our suggestion based on Sabir Dutt

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari