main talkhi-e-hayaat se ghabra ke pee gaya
gham ki siyaah raat se ghabra ke pee gaya
itni daqeeq shay koi kaise samajh sake
yazdaan ke waqiaat se ghabra ke pee gaya
chalke hue the jaam pareshaan thi zulf-e-yaar
kuchh aise haadsaat se ghabra ke pee gaya
main aadmi hoon koi farishta nahin huzoor
main aaj apni zaat se ghabra ke pee gaya
duniya-e-haadsaat hai ik dardnaak geet
duniya-e-haadsaat se ghabra ke pee gaya
kaante to khair kaante hain is ka gila hi kya
phoolon ki waardaat se ghabra ke pee gaya
saaghar vo kah rahe the ki pee leejie huzoor
un ki guzaarishaat se ghabra ke pee gaya
मैं तल्ख़ी-ए-हयात से घबरा के पी गया
ग़म की सियाह रात से घबरा के पी गया
इतनी दक़ीक़ शय कोई कैसे समझ सके
यज़्दाँ के वाक़िआत से घबरा के पी गया
छलके हुए थे जाम परेशाँ थी ज़ुल्फ़-ए-यार
कुछ ऐसे हादसात से घबरा के पी गया
मैं आदमी हूँ कोई फ़रिश्ता नहीं हुज़ूर
मैं आज अपनी ज़ात से घबरा के पी गया
दुनिया-ए-हादसात है इक दर्दनाक गीत
दुनिया-ए-हादसात से घबरा के पी गया
काँटे तो ख़ैर काँटे हैं इस का गिला ही क्या
फूलों की वारदात से घबरा के पी गया
'साग़र' वो कह रहे थे कि पी लीजिए हुज़ूर
उन की गुज़ारिशात से घबरा के पी गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saghar Siddiqui
our suggestion based on Saghar Siddiqui
As you were reading Dard Shayari Shayari