bharka rahe hain aag lab-e-nagmaagar se ham
khaamosh kya rahenge zamaane ke dar se ham
kuchh aur badh gaye jo andhere to kya hua
mayus to nahin hain tuloo-e-sehr se ham
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se ham
maana ki is zameen ko na gulzaar kar sake
kuchh khaar kam to kar gaye guzre jidhar se ham
भड़का रहे हैं आग लब-ए-नग़्मागर से हम
ख़ामोश क्या रहेंगे ज़माने के डर से हम
कुछ और बढ़ गए जो अँधेरे तो क्या हुआ
मायूस तो नहीं हैं तुलू-ए-सहर से हम
ले दे के अपने पास फ़क़त इक नज़र तो है
क्यूँ देखें ज़िंदगी को किसी की नज़र से हम
माना कि इस ज़मीं को न गुलज़ार कर सके
कुछ ख़ार कम तो कर गए गुज़रे जिधर से हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sahir Ludhianvi
our suggestion based on Sahir Ludhianvi
As you were reading Zindagi Shayari Shayari