dekha hai zindagi ko kuchh itne qareeb se
chehre tamaam lagne lage hain ajeeb se
ai rooh-e-asr jaag kahaan so rahi hai tu
awaaz de rahe hain payambar saleeb se
is rengti hayaat ka kab tak uthaaye baar
beemaar ab uljhane lage hain tabeeb se
har gaam par hai majma-e-ushshaq muntazir
maqtal ki raah milti hai koo-e-habeeb se
is tarah zindagi ne diya hai hamaara saath
jaise koi nibaah raha ho raqeeb se
देखा है ज़िंदगी को कुछ इतने क़रीब से
चेहरे तमाम लगने लगे हैं अजीब से
ऐ रूह-ए-अस्र जाग कहाँ सो रही है तू
आवाज़ दे रहे हैं पयम्बर सलीब से
इस रेंगती हयात का कब तक उठाएँ बार
बीमार अब उलझने लगे हैं तबीब से
हर गाम पर है मजमा-ए-उश्शाक़ मुंतज़िर
मक़्तल की राह मिलती है कू-ए-हबीब से
इस तरह ज़िंदगी ने दिया है हमारा साथ
जैसे कोई निबाह रहा हो रक़ीब से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sahir Ludhianvi
our suggestion based on Sahir Ludhianvi
As you were reading Chaaragar Shayari Shayari