sadiyon se insaan ye sunta aaya hai | सदियों से इंसान ये सुनता आया है - Sahir Ludhianvi

sadiyon se insaan ye sunta aaya hai
dukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya hai

hum ko in sasti khushiyon ka lobh na do
hum ne soch samajh kar gham apnaaya hai

jhooth to qaateel thehra is ka kya rona
sach ne bhi insaan ka khun bahaaya hai

paidaish ke din se maut ki zad mein hain
is maqtal mein kaun humein le aaya hai

awwal awwal jis dil ne barbaad kiya
aakhir aakhir vo dil hi kaam aaya hai

itne din ehsaan kiya deewaanon par
jitne din logon ne saath nibhaaya hai

सदियों से इंसान ये सुनता आया है
दुख की धूप के आगे सुख का साया है

हम को इन सस्ती ख़ुशियों का लोभ न दो
हम ने सोच समझ कर ग़म अपनाया है

झूट तो क़ातिल ठहरा इस का क्या रोना
सच ने भी इंसाँ का ख़ूँ बहाया है

पैदाइश के दिन से मौत की ज़द में हैं
इस मक़्तल में कौन हमें ले आया है

अव्वल अव्वल जिस दिल ने बर्बाद किया
आख़िर आख़िर वो दिल ही काम आया है

इतने दिन एहसान किया दीवानों पर
जितने दिन लोगों ने साथ निभाया है

- Sahir Ludhianvi
11 Likes

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sahir Ludhianvi

As you were reading Shayari by Sahir Ludhianvi

Similar Writers

our suggestion based on Sahir Ludhianvi

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari