ye zulf agar khul ke bikhar jaaye to achha | ये ज़ुल्फ़ अगर खुल के बिखर जाए तो अच्छा - Sahir Ludhianvi

ye zulf agar khul ke bikhar jaaye to achha
is raat ki taqdeer sanwar jaaye to achha

jis tarah se thodi si tire saath kati hai
baaki bhi usi tarah guzar jaaye to achha

duniya ki nigaahon mein bhala kya hai bura kya
ye bojh agar dil se utar jaaye to achha

vaise to tumheen ne mujhe barbaad kiya hai
ilzaam kisi aur ke sar jaaye to achha

ये ज़ुल्फ़ अगर खुल के बिखर जाए तो अच्छा
इस रात की तक़दीर सँवर जाए तो अच्छा

जिस तरह से थोड़ी सी तिरे साथ कटी है
बाक़ी भी उसी तरह गुज़र जाए तो अच्छा

दुनिया की निगाहों में भला क्या है बुरा क्या
ये बोझ अगर दिल से उतर जाए तो अच्छा

वैसे तो तुम्हीं ने मुझे बरबाद किया है
इल्ज़ाम किसी और के सर जाए तो अच्छा

- Sahir Ludhianvi
10 Likes

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sahir Ludhianvi

As you were reading Shayari by Sahir Ludhianvi

Similar Writers

our suggestion based on Sahir Ludhianvi

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari