har qadam par naya safar kyun hai
ajnabi lagti rahguzar kyun hai
dafn hai aarzoo dilon mein par
rooh jismoon kii dar-b-dar kyun hai
gul ke saaye mein baitha har aashiq
khud ke saaye se be-khabar kyun hai
yun bhadak kar charaagon ne poocha
shab se darti ye dopahar kyun hai
हर क़दम पर नया सफ़र क्यों है
अजनबी लगती रहगुज़र क्यों है
दफ़्न है आरज़ू दिलों में पर
रूह जिस्मों की दर-ब-दर क्यों है
गुल के साए में बैठा हर आशिक़
ख़ुद के साए से बे-ख़बर क्यों है
यूँ भड़क कर चराग़ों ने पूछा
शब से डरती ये दोपहर क्यों है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Saket Bhimte
As you were reading Aahat Shayari Shayari