haar kar rukna nahin manzil bhale hi door hai
thokren khaakar bhi chalna waqt ka dastoor hai
hausale ke saamne taqdeer bhi jhuk jaayegi
tu badal saktaa hai qismat kislie majboor hai
aadmi kii chaah ho to khilte hai patthar mein phool
kaun sii manzil bhala jo aadmi se door hai
khaak ka hai putla insaan khaak mein mil jaayega
kaisi daulat kaisi shohrat kyun bhala maghroor hai
waqt se pehle kisi ko kuchh nahin milta kabhi
waqt ke haathon yahan har ek shay majboor hai
हार कर रुकना नहीं मंज़िल भले ही दूर है
ठोकरें खाकर भी चलना वक़्त का दस्तूर है
हौसले के सामने तक़दीर भी झुक जाएगी
तू बदल सकता है क़िस्मत किसलिए मजबूर है
आदमी की चाह हो तो खिलते है पत्थर में फूल
कौन सी मंज़िल भला जो आदमी से दूर है
ख़ाक का है पुतला इंसाँ ख़ाक में मिल जाएगा
कैसी दौलत कैसी शोहरत क्यों भला मग़रूर है
वक़्त से पहले किसी को कुछ नहीं मिलता कभी
वक़्त के हाथों यहाँ हर एक शय मजबूर है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading Khushboo Shayari Shayari