itni jaldi to tere fan mein nahin aa sakte
hijr ke khel ladakpan mein nahin aa sakte
koii daaman ho salaamat to chalo ro bhi loon
mere aansu kisi katran mein nahin aa sakte
ham se paagal ko samajh paana tire bas ka nahin
ham vo dariya hain jo bartan mein nahin aa sakte
ham hain zanjeeron kii khan khan ke bigaade hue log
teri paazeb kii chhan-chhan mein nahin aa sakte
ye mere gham to kisi aur pe jachne se rahe
ye vo kapde hain jo fashion mein nahin aa sakte
इतनी जल्दी तो तेरे फ़न में नहीं आ सकते
हिज्र के खेल लड़कपन में नहीं आ सकते
कोई दामन हो सलामत तो चलो रो भी लूँ
मेरे आँसू किसी कतरन में नहीं आ सकते
हम से पागल को समझ पाना तिरे बस का नहीं
हम वो दरिया हैं जो बर्तन में नहीं आ सकते
हम हैं ज़ंजीरों की खन खन के बिगाड़े हुए लोग
तेरी पाज़ेब की छन-छन में नहीं आ सकते
ये मेरे ग़म तो किसी और पे जचने से रहे
ये वो कपड़े हैं जो फैशन में नहीं आ सकते
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Salman Saeed
As you were reading Dard Shayari Shayari