ye jitne bhi log yahan qismat ke maare hote hain
inke hisse keval aansu aur khasaare hote hain
suraj chaand kahaan hota inki qismat mein yaar yahan
inke hisse mein bas kuchh jugnoo aur taare hote hain
bujh jaate hain kuchh die zimmedaari ke bojh tale
bujhne se pehle vo die behad pyaare hote hain
uth jaata hai jinke sar se maa-baapu ka saaya vo
bacche duniya bhar ki nazaron mein bechaare hote hain
kaam namak ka inke aansu hi kar dete hain sandy
hamne dekha hai aansu behad hi khaare hote hain
ये जितने भी लोग यहाँ क़िस्मत के मारे होते हैं
इनके हिस्से केवल आँसू और ख़सारे होते हैं
सूरज चाँद कहाँ होता इनकी क़िस्मत में यार यहाँ
इनके हिस्से में बस कुछ जुगनू और तारे होते हैं
बुझ जाते हैं कुछ दीए ज़िम्मेदारी के बोझ तले
बुझने से पहले वो दीए बेहद प्यारे होते हैं
उठ जाता है जिनके सर से माँ-बापू का साया वो
बच्चे दुनिया भर की नज़रों में बेचारे होते हैं
काम नमक का इनके आँसू ही कर देते हैं सैंडी
हमने देखा है आँसू बेहद ही खारे होते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sandeep dabral 'sendy'
our suggestion based on Sandeep dabral 'sendy'
As you were reading Emotional Shayari Shayari