sochun agar main khud ko to koii sift nahin
dekhoon magar main tujhmein hai kuchh bhi galat nahin
mera yaqeen karna tere lafz lafz par
ye ishq hai mera meri maasoomiyat nahin
phir ek din tu mujhse khafa ho ke chal diya
koii dua salaam nahin koii khat nahin
mujhko tabaah karke tere chehre kii chamak
kuchh bhi nahin malaal koii maazrat nahin
hanskar manana tum meri barbaadiyon ka jashn
karna mere janaaze mein kuchh taaziyat nahin
tay kar gaya mere liye dozakh mera sanam
ab chahiye khuda se mujhe aakhirat nahin
सोचूँ अगर मैं ख़ुद को तो कोई सिफ़त नहीं
देखूँ मगर मैं तुझमें है कुछ भी ग़लत नहीं
मेरा यक़ीन करना तेरे लफ़्ज़ लफ़्ज़ पर
ये इश्क़ है मेरा मेरी मासूमियत नहीं
फिर एक दिन तू मुझसे ख़फ़ा हो के चल दिया
कोई दुआ सलाम नहीं कोई ख़त नहीं
मुझको तबाह करके तेरे चेहरे की चमक
कुछ भी नहीं मलाल कोई माज़रत नहीं
हँसकर मनाना तुम मेरी बर्बादियों का जश्न
करना मेरे जनाज़े में कुछ ताज़ियत नहीं
तय कर गया मेरे लिए दोज़ख़ मेरा सनम
अब चाहिए ख़ुदा से मुझे आख़िरत नहीं
As you were reading Shayari by Sanyam Bhatia
our suggestion based on Sanyam Bhatia
As you were reading undefined Shayari