maut ko maana khuda bechaargi se mar gaye
sham'a mein parwaane kitni saadgi se mar gaye
sahilon kii ret se poocho hamaara saaniha
kaise ham dariya kinaare tishnagi se mar gaye
kuchh ke hisse maut aayi kuchh ne kar li khudkushi
aur jo bhi rah gaye vo zindagi se mar gaye
phir se kitne sarkashon ne aakhiri saansen bhariin
aaj phir kitne sitaare teergi se mar gaye
itne khush-qismat kahaan the ham ki marte ranj se
qaatilon se kii muhabbat dillagi se mar gaye
मौत को माना ख़ुदा बेचारगी से मर गए
शम्अ में परवाने कितनी सादगी से मर गए
साहिलों की रेत से पूछो हमारा सानिहा
कैसे हम दरिया किनारे तिश्नगी से मर गए
कुछ के हिस्से मौत आई कुछ ने कर ली ख़ुदकुशी
और जो भी रह गए वो ज़िन्दगी से मर गए
फिर से कितने सरकशों ने आख़िरी साँसें भरीं
आज फिर कितने सितारे तीरगी से मर गए
इतने ख़ुश-क़िस्मत कहाँ थे हम कि मरते रंज से
क़ातिलों से की मुहब्बत दिल्लगी से मर गए
As you were reading Shayari by Sanyam Bhatia
our suggestion based on Sanyam Bhatia
As you were reading undefined Shayari