use is waqt is mehfil mein hona chahiye tha khair
muhabbat mein ana ko dil se khona chahiye tha khair
bichhadte waqt uski aankh mein kuchh bhi nahin dekha
use do pal to palkon ko bhigona chahiye tha khair
mujhe masroof lamhon ne kahi furqat ki sacchaai
use bas ek achha sa khilauna chahiye tha khair
mere qisson mein sunkar naam uska log hanste the
use is baat par thoda to rona chahiye tha khair
mere dil ki tasalli ke liye tasveer bheji hai
tumhein is waqt mere paas hona chahiye tha khair
उसे इस वक़्त इस महफ़िल में होना चाहिए था ख़ैर
मुहब्बत में अना को दिल से खोना चाहिए था ख़ैर
बिछड़ते वक़्त उसकी आँख में कुछ भी नहीं देखा
उसे दो पल तो पलकों को भिगोना चाहिए था ख़ैर
मुझे मसरूफ़ लम्हों ने कही फ़ुर्सत की सच्चाई
उसे बस एक अच्छा सा खिलौना चाहिए था ख़ैर
मेरे क़िस्सों में सुनकर नाम उसका लोग हँसते थे
उसे इस बात पर थोड़ा तो रोना चाहिए था ख़ैर
मेरे दिल की तसल्ली के लिए तस्वीर भेजी है
तुम्हें इस वक़्त मेरे पास होना चाहिए था ख़ैर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sapna Moolchandani
our suggestion based on Sapna Moolchandani
As you were reading Khuddari Shayari Shayari