meri zindagi pe na muskuraa mujhe zindagi ka alam nahin
jise tere gham se ho vaasta vo khizaan bahaar se kam nahin
mera kufr haasil-e-zohd hai mera zohad haasil-e-kufr hai
meri bandagi vo hai bandagi jo raheen-e-deir-o-haram nahin
mujhe raas aayein khuda kare yahi ishtibaah ki sa'aaten
unhen aitbaar-e-wafa to hai mujhe aitbaar-e-sitam nahin
wahi kaarwaan wahi raaste wahi zindagi wahi marhale
magar apne apne maqaam par kabhi tum nahin kabhi ham nahin
na vo shaan-e-jabr-e-shabaab hai na vo rang-e-qahr-e-itaab hai
dil-e-be-qaraar pe in dinon hai sitam yahi ki sitam nahin
na fana meri na baqa meri mujhe ai shakeel na dhoondhiye
main kisi ka husn-e-khayaal hoon mera kuchh vujood o adam nahin
मिरी ज़िंदगी पे न मुस्कुरा मुझे ज़िंदगी का अलम नहीं
जिसे तेरे ग़म से हो वास्ता वो ख़िज़ाँ बहार से कम नहीं
मिरा कुफ़्र हासिल-ए-ज़ोहद है मिरा ज़ोहद हासिल-ए-कुफ़्र है
मिरी बंदगी वो है बंदगी जो रहीन-ए-दैर-ओ-हरम नहीं
मुझे रास आएँ ख़ुदा करे यही इश्तिबाह की साअतें
उन्हें ऐतबार-ए-वफ़ा तो है मुझे ऐतबार-ए-सितम नहीं
वही कारवाँ वही रास्ते वही ज़िंदगी वही मरहले
मगर अपने अपने मक़ाम पर कभी तुम नहीं कभी हम नहीं
न वो शान-ए-जब्र-ए-शबाब है न वो रंग-ए-क़हर-ए-इताब है
दिल-ए-बे-क़रार पे इन दिनों है सितम यही कि सितम नहीं
न फ़ना मिरी न बक़ा मिरी मुझे ऐ 'शकील' न ढूँढिए
मैं किसी का हुस्न-ए-ख़याल हूँ मिरा कुछ वजूद ओ अदम नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shakeel Badayuni
our suggestion based on Shakeel Badayuni
As you were reading Dard Shayari Shayari