mas'ala khatm hua chahta hai | मसअला ख़त्म हुआ चाहता है - Shakeel Jamali

mas'ala khatm hua chahta hai
dil bas ab zakham naya chahta hai

kab talak log andhere mein rahein
ab ye maahol diya chahta hai

mas'ala mere tahaffuz ka nahin
shehar ka shehar khuda chahta hai

meri tanhaaiyaanlab maangti hain
mera darwaaza sada chahta hai

ghar ko jaate hue sharm aati hai
raat ka ek baja chahta hai

मसअला ख़त्म हुआ चाहता है
दिल बस अब ज़ख़्म नया चाहता है

कब तलक लोग अंधेरे में रहें
अब ये माहौल दिया चाहता है

मसअला मेरे तहफ़्फ़ुज़ का नहीं
शहर का शहर ख़ुदा चाहता है

मेरी तन्हाइयांलब मांगती हैं
मेरा दरवाज़ा सदा चाहता है

घर को जाते हुए शर्म आती है
रात का एक बजा चाहता है

- Shakeel Jamali
2 Likes

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shakeel Jamali

As you were reading Shayari by Shakeel Jamali

Similar Writers

our suggestion based on Shakeel Jamali

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari