ulte seedhe sapne pale baithe hain
sab paani mein kaanta dale baithe hain
ik beemaar vasiyat karne waala hai
rishte naate jeebh nikale baithe hain
abhi na jaane kitna hansna rona hai
abhi to hamse pehle waale baithe hain
sahab-zaada pichhli raat se ghaayab hai
ghar ke andar rishte waale baithe hain
andar dori toot rahi hai saanson ki
baahar beema karne waale baithe hain
उल्टे सीधे सपने पाले बैठे हैं
सब पानी में काँटा डाले बैठे हैं
इक बीमार वसीयत करने वाला है
रिश्ते नाते जीभ निकाले बैठे हैं
अभी न जाने कितना हँसना रोना है
अभी तो हमसे पहले वाले बैठे हैं
साहब-ज़ादा पिछली रात से ग़ायब है
घर के अंदर रिश्ते वाले बैठे हैं
अंदर डोरी टूट रही है साँसों की
बाहर बीमा करने वाले बैठे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shakeel Jamali
our suggestion based on Shakeel Jamali
As you were reading Kanta Shayari Shayari