khaane ko to zahar bhi khaaya ja saka hai | खाने को तो ज़हर भी खाया जा सकता है

  - Shakeel Jamali

khaane ko to zahar bhi khaaya ja saka hai
lekin us ko phir samjhaaya ja saka hai

is duniya mein ham jaise bhi rah sakte hain
is daldal par paanv jamaaya ja saka hai

sab se pehle dil ke khaali-pan ko bharna
paisa saari umr kamaaya ja saka hai

main ne kaise kaise sadme jhel liye hain
is ka matlab zahar pachaaya ja saka hai

itna itminaan hai ab bhi un aankhon mein
ek bahaana aur banaya ja saka hai

jhooth mein shak ki kam gunjaish ho sakti hai
sach ko jab chaaho jhuthlaaya ja saka hai

खाने को तो ज़हर भी खाया जा सकता है
लेकिन उस को फिर समझाया जा सकता है

इस दुनिया में हम जैसे भी रह सकते हैं
इस दलदल पर पाँव जमाया जा सकता है

सब से पहले दिल के ख़ाली-पन को भरना
पैसा सारी उम्र कमाया जा सकता है

मैं ने कैसे कैसे सदमे झेल लिए हैं
इस का मतलब ज़हर पचाया जा सकता है

इतना इत्मिनान है अब भी उन आँखों में
एक बहाना और बनाया जा सकता है

झूट में शक की कम गुंजाइश हो सकती है
सच को जब चाहो झुठलाया जा सकता है

  - Shakeel Jamali

Jahar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shakeel Jamali

As you were reading Shayari by Shakeel Jamali

Similar Writers

our suggestion based on Shakeel Jamali

Similar Moods

As you were reading Jahar Shayari Shayari