safar se mujh ko bad-dil kar raha tha | सफ़र से मुझ को बद-दिल कर रहा था

  - Shariq Kaifi

safar se mujh ko bad-dil kar raha tha
bhanwar ka kaam saahil kar raha tha

vo samjha hi kahaan us martabe ko
main us ko dukh mein shaamil kar raha tha

hamaari fath thi maqtool hona
yahi koshish to qaateel kar raha tha

koi to tha mere hi qafile mein
jo mera kaam mushkil kar raha tha

vo thukra kar gaya is daur mein jab
main jo chaahoon vo haasil kar raha tha

tiri baaton mein yun bhi aa gaya main
bhatkne ka bahut dil kar raha tha

koi mujh sa hi deewaana tha shaayad
jo veeraane mein mehfil kar raha tha

ye dil khud-gharz dil gham-khwaar tera
khushi gham mein bhi haasil kar raha tha

samajhta tha main saazish aaine ki
mujhe mere muqaabil kar raha tha

सफ़र से मुझ को बद-दिल कर रहा था
भँवर का काम साहिल कर रहा था

वो समझा ही कहाँ उस मर्तबे को
मैं उस को दुख में शामिल कर रहा था

हमारी फ़त्ह थी मक़्तूल होना
यही कोशिश तो क़ातिल कर रहा था

कोई तो था मिरे ही क़ाफ़िले में
जो मेरा काम मुश्किल कर रहा था

वो ठुकरा कर गया इस दौर में जब
मैं जो चाहूँ वो हासिल कर रहा था

तिरी बातों में यूँ भी आ गया मैं
भटकने का बहुत दिल कर रहा था

कोई मुझ सा ही दीवाना था शायद
जो वीराने में महफ़िल कर रहा था

ये दिल ख़ुद-ग़र्ज़ दिल ग़म-ख़्वार तेरा
ख़ुशी ग़म में भी हासिल कर रहा था

समझता था मैं साज़िश आइने की
मुझे मेरे मुक़ाबिल कर रहा था

  - Shariq Kaifi

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari