roz ka ik mashghala kuchh der ka
us gali ka raasta kuchh der ka
baat kya badhti ki jab ma’aloom tha
saath hai kuchh door ka kuchh der ka
u’mr bhar ko ek kar jaata hamein
hausla tera mera kuchh der ka
phir mujhe duniya mein shaamil kar gaya
khud se mera vaasta kuchh der ka
ab nahin to kal ye rishta tootaa
farq kya padta bhala kuchh der ka
रोज़ का इक मश्ग़ला कुछ देर का
उस गली का रास्ता कुछ देर का
बात क्या बढ़ती कि जब मा’लूम था
साथ है कुछ दूर का कुछ देर का
उ’म्र भर को एक कर जाता हमें
हौसला तेरा मिरा कुछ देर का
फिर मुझे दुनिया में शामिल कर गया
ख़ुद से मेरा वास्ता कुछ देर का
अब नहीं तो कल ये रिश्ता टूटता
फ़र्क़ क्या पड़ता भला कुछ देर का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shariq Kaifi
our suggestion based on Shariq Kaifi
As you were reading Duniya Shayari Shayari