apni auqaat par utar aaye
yaar bhi ghaat par utar aaye
pehle mera hunar khangala aur
phir meri zaat par utar aaye
rang kacche the saare titli ke
so mere haath par utar aaye
main daleelon se baat karta hoon
aap aayaat par utar aaye
अपनी औक़ात पर उतर आए
यार भी घात पर उतर आए
पहले मेरा हुनर खँगाला और
फिर मेरी ज़ात पर उतर आए
रंग कच्चे थे सारे तितली के
सो मेरे हाथ पर उतर आए
मैं दलीलों से बात करता हूँ
आप आयात पर उतर आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shaukat Fehmi
our suggestion based on Shaukat Fehmi
As you were reading Festive Shayari Shayari