rone laga vo dekh kar is haal mein
vo daal kar bhi khud gaya tha jaal mein
jo shakhs lagta tha zamaane se juda
vo shakhs bhi tha bhediyae kii khaal mein
hans kar jala di aapne to bastiyaan
duniya basi thi zaalimo tirpal mein
jisko bhulaane mein lagi theen koshishein
taarikh vo phir aa gai is saal mein
रोने लगा वो देख कर इस हाल में
वो डाल कर भी ख़ुद गया था जाल में
जो शख़्स लगता था ज़माने से जुदा
वो शख़्स भी था भेड़िये की खाल में
हँस कर जला दी आपने तो बस्तियाँ
दुनिया बसी थी ज़ालिमो तिरपाल में
जिसको भुलाने में लगी थीं कोशिशें
तारीख़ वो फिर आ गई इस साल में
As you were reading Shayari by Shivam Prajapati
our suggestion based on Shivam Prajapati
As you were reading undefined Shayari