dega kab raasta dariya mujhko
maar daalega ye sadma mujhko
raam ke desh se laaya tha vo
de nahin paaya jo tohfa mujhko
khaak hoga ye takabbur mera
maar daalega ye karza mujhko
bel us dar ki baja aaya main
rah gaya takta dareecha mujhko
aaya hain kaala pahan kar vo to
tha kiya peele ka vaada mujhko
gir gaya khoon mera hain is par
jail bhejega ye aslaa mujhko
chehra tak dekha nahin hai uska
jis kanwal ne diya kurta mujhko
देगा कब रास्ता दरिया मुझको
मार डालेगा ये सदमा मुझको
राम के देश से लाया था वो
दे नहीं पाया जो तोहफ़ा मुझको
ख़ाक होगा ये तकब्बुर मेरा
मार डालेगा ये कर्ज़ा मुझको
बेल उस दर कि बजा आया मैं
रह गया तकता दरीचा मुझको
आया हैं काला पहन कर वो तो
था किया पीले का वादा मुझको
गिर गया ख़ून मिरा हैं इस पर
जेल भेजेगा ये असला मुझको
चेहरा तक देखा नहीं है उसका
जिस कँवल ने दिया कुर्ता मुझको
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohaib Alvi
our suggestion based on Sohaib Alvi
As you were reading Tohfa Shayari Shayari