zara door jaana nahin chahta hai
koi bhi thikaana nahin chahta hai
kare hai koi chaaragar chaaraajoi
dava bhi khilaana nahin chahta hai
hui jab se veeraan dil ki haveli
koi aana jaana nahin chahta hai
meri tarah ye baam-o-dar aur ghar bhi
koi muskurana nahin chahta hai
kai baar jhaanse mein aaya magar ab
parinda thikaana nahin chahta hai
sukhan-goi jis din se raas aayi dil ko
ye dukhde sunaana nahin chahta hai
ज़रा दूर जाना नहीं चाहता है
कोई भी ठिकाना नहीं चाहता है
करे है कोई चारागर चाराजोई
दवा भी खिलाना नहीं चाहता है
हुई जब से वीरान दिल की हवेली
कोई आना जाना नहीं चाहता है
मेरी तरह ये बाम-ओ-दर और घर भी
कोई मुस्कुराना नहीं चाहता है
कई बार झाँसे में आया मगर अब
परिंदा ठिकाना नहीं चाहता है
सुख़न-गोई जिस दिन से रास आई दिल को
ये दुखड़े सुनाना नहीं चाहता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Dil Shayari Shayari