silsila mere safar ka kabhi toota hi nahin | सिलसिला मेरे सफ़र का कभी टूटा ही नहीं - Sultan Akhtar

silsila mere safar ka kabhi toota hi nahin
main kisi mod pe dam lene ko thehra hi nahin

khushk honton ke tasavvur se larzne waalo
tum ne tapta hua sehra kabhi dekha hi nahin

ab to har baat pe hansne kii tarah hansta hoon
aisa lagta hai mera dil kabhi toota hi nahin

main vo sehra jise paani kii havas le doobi
tu vo baadal jo kabhi toot ke barsa hi nahin

aisi veeraani thi dar pe ki sabhi kaanp gaye
aur kisi ne pas-e-deewaar to dekha hi nahin

mujhse milti hi nahin hai kabhi milne kii tarah
zindagi se mera jaise koii rishta hi nahin

सिलसिला मेरे सफ़र का कभी टूटा ही नहीं
मैं किसी मोड़ पे दम लेने को ठहरा ही नहीं

ख़ुश्क होंटों के तसव्वुर से लरज़ने वालो
तुम ने तपता हुआ सहरा कभी देखा ही नहीं

अब तो हर बात पे हँसने की तरह हँसता हूँ
ऐसा लगता है मिरा दिल कभी टूटा ही नहीं

मैं वो सहरा जिसे पानी की हवस ले डूबी
तू वो बादल जो कभी टूट के बरसा ही नहीं

ऐसी वीरानी थी दर पे कि सभी काँप गए
और किसी ने पस-ए-दीवार तो देखा ही नहीं

मुझसे मिलती ही नहीं है कभी मिलने की तरह
ज़िन्दगी से मिरा जैसे कोई रिश्ता ही नहीं

- Sultan Akhtar
0 Likes

More by Sultan Akhtar

As you were reading Shayari by Sultan Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Sultan Akhtar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari