mujh mein koi mujh jaisa ho aisa bhi ho saka hai | मुझ में कोई मुझ जैसा हो ऐसा भी हो सकता है

  - Syed Sarosh Asif

mujh mein koi mujh jaisa ho aisa bhi ho saka hai
ya phir koi aur chhupa ho aisa bhi ho saka hai

us ke haath mein ghubbaare the phir bhi baccha gum-sum tha
vo ghubbaare bech raha ho aisa bhi ho saka hai

ek risaala padhte padhte us ki aankhen bhar aayein
us mein mera she'r chhapa ho aisa bhi ho saka hai

ambar bhi neela neela hai dariya bhi neela neela
un dono ne zahar piya ho aisa bhi ho saka hai

sehra mein jab pyaas lagi to meri vehshat ne socha
qais ne khud ka khoon piya ho aisa bhi ho saka hai

jis ki khaatir beech safar mein us ne mujh ko chhodaa tha
vo bhi us ko chhod gaya ho aisa bhi ho saka hai

मुझ में कोई मुझ जैसा हो ऐसा भी हो सकता है
या फिर कोई और छुपा हो ऐसा भी हो सकता है

उस के हाथ में ग़ुब्बारे थे फिर भी बच्चा गुम-सुम था
वो ग़ुब्बारे बेच रहा हो ऐसा भी हो सकता है

एक रिसाला पढ़ते पढ़ते उस की आँखें भर आईं
उस में मेरा शे'र छपा हो ऐसा भी हो सकता है

अम्बर भी नीला नीला है दरिया भी नीला नीला
उन दोनों ने ज़हर पिया हो ऐसा भी हो सकता है

सहरा में जब प्यास लगी तो मेरी वहशत ने सोचा
क़ैस ने ख़ुद का ख़ून पिया हो ऐसा भी हो सकता है

जिस की ख़ातिर बीच सफ़र में उस ने मुझ को छोड़ा था
वो भी उस को छोड़ गया हो ऐसा भी हो सकता है

  - Syed Sarosh Asif

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Syed Sarosh Asif

As you were reading Shayari by Syed Sarosh Asif

Similar Writers

our suggestion based on Syed Sarosh Asif

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari