ye hijraton ka zamaana bhi kya zamaana hai | ये हिजरतों का ज़माना भी क्या ज़माना है

  - Syed Sarosh Asif

ye hijraton ka zamaana bhi kya zamaana hai
unhin se door hain jin ke liye kamaana hai

khushi ye hai ki mere ghar se phone aaya hai
sitam ye hai ki mujhe khairiyat bataana hai

hamein ye baat bahut der mein samajh aayi
wahin to jaal bichha hai jahaan bhi daana hai

hamein jala nahin sakti hai dhoop hijrat ki
hamaare sar pe zaroorat ka shaamiyaana hai

namaaz eed ki padh kar main dhoondhta hi raha
kahi dikhe koi apna gale lagana hai

wahin wahin liye phirti hai gardish-e-dauraan
jahaan jahaan bhi likha mera aab-o-daana hai

ये हिजरतों का ज़माना भी क्या ज़माना है
उन्हीं से दूर हैं जिन के लिए कमाना है

ख़ुशी ये है कि मिरे घर से फ़ोन आया है
सितम ये है कि मुझे ख़ैरियत बताना है

हमें ये बात बहुत देर में समझ आई
वहीं तो जाल बिछा है जहाँ भी दाना है

हमें जला नहीं सकती है धूप हिजरत की
हमारे सर पे ज़रूरत का शामियाना है

नमाज़ ईद की पढ़ कर मैं ढूँढता ही रहा
कहीं दिखे कोई अपना गले लगाना है

वहीं वहीं लिए फिरती है गर्दिश-ए-दौराँ
जहाँ जहाँ भी लिखा मेरा आब-ओ-दाना है

  - Syed Sarosh Asif

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Syed Sarosh Asif

As you were reading Shayari by Syed Sarosh Asif

Similar Writers

our suggestion based on Syed Sarosh Asif

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari