teri soorat nigaahon mein phirti rahe ishq tera sataaye to main kya karoon
koi itna to aa kar bata de mujhe jab tiri yaad aaye to main kya karoon
main ne khaak-e-nasheman ko bose diye aur ye kah ke bhi dil ko samjha liya
aashiyana banaana mera kaam tha koi bijli giraaye to main kya karoon
main ne maangi thi ye masjidoon mein dua main jise chahta hoon vo mujh ko mile
jo mera farz tha main ne poora kiya ab khuda hi na chahe to main kya karoon
shauq peene ka mujh ko ziyaada na tha tark-e-tauba ka koi iraada na tha
main sharaabi nahin mujh ko tohmat na do vo nazar se pilaaye to main kya karoon
husn aur ishq dono mein tafriq hai par inheen dono pe mera eimaan hai
gar khuda rooth jaaye to sajde karoon aur sanam rooth jaaye to main kya karoon
chashm-e-saaqi se peene ko main jo gaya paarsaai ka meri bharam khul gaya
ban raha hai jahaan mein tamasha mera hosh mujh ko na aaye to main kya karoon
तेरी सूरत निगाहों में फिरती रहे इश्क़ तेरा सताए तो मैं क्या करूँ
कोई इतना तो आ कर बता दे मुझे जब तिरी याद आए तो मैं क्या करूँ
मैं ने ख़ाक-ए-नशेमन को बोसे दिए और ये कह के भी दिल को समझा लिया
आशियाना बनाना मिरा काम था कोई बिजली गिराए तो मैं क्या करूँ
मैं ने माँगी थी ये मस्जिदों में दुआ मैं जिसे चाहता हूँ वो मुझ को मिले
जो मिरा फ़र्ज़ था मैं ने पूरा किया अब ख़ुदा ही न चाहे तो मैं क्या करूँ
शौक़ पीने का मुझ को ज़ियादा न था तर्क-ए-तौबा का कोई इरादा न था
मैं शराबी नहीं मुझ को तोहमत न दो वो नज़र से पिलाए तो मैं क्या करूँ
हुस्न और इश्क़ दोनों में तफ़रीक़ है पर इन्हीं दोनों पे मेरा ईमान है
गर ख़ुदा रूठ जाए तो सज्दे करूँ और सनम रूठ जाए तो मैं क्या करूँ
चश्म-ए-साक़ी से पीने को मैं जो गया पारसाई का मेरी भरम खुल गया
बन रहा है जहाँ में तमाशा मिरा होश मुझ को न आए तो मैं क्या करूँ
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Tabish Kanpuri
As you were reading Nigaah Shayari Shayari