ab ke baras honton se mere tishna-labi bhi khatm hui
tujh se milne ki ai dariya majboori bhi khatm hui
kaisa pyaar kahaan ki ulfat ishq ki baat to jaane do
mere liye ab us ke dil se hamdardi bhi khatm hui
saamne waali building mein ab kaam hai bas aaraish ka
kal tak jo milti thi hamein vo mazdoori bhi khatm hui
jail se waapas aa kar us ne paanchon waqt namaaz padhi
munh bhi band hue sab ke aur badnaami bhi khatm hui
jis ki jal-dhaara se basti waale jeevan paate the
rasta badalte hi naddi ke vo basti bhi khatm hui
अब के बरस होंटों से मेरे तिश्ना-लबी भी ख़त्म हुइ
तुझ से मिलने की ऐ दरिया मजबूरी भी ख़त्म हुई
कैसा प्यार कहाँ की उल्फ़त इश्क़ की बात तो जाने दो
मेरे लिए अब उस के दिल से हमदर्दी भी ख़त्म हुई
सामने वाली बिल्डिंग में अब काम है बस आराइश का
कल तक जो मिलती थी हमें वो मज़दूरी भी ख़त्म हुई
जेल से वापस आ कर उस ने पांचों वक़्त नमाज़ पढ़ी
मुँह भी बंद हुए सब के और बदनामी भी ख़त्म हुई
जिस की जल-धारा से बस्ती वाले जीवन पाते थे
रस्ता बदलते ही नद्दी के वो बस्ती भी ख़त्म हुई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahir Faraz
our suggestion based on Tahir Faraz
As you were reading Kisaan Shayari Shayari