jab mere honton pe meri tishnagi rah jaayegi
teri aankhon mein bhi thodi si nami rah jaayegi
sar-fira jhonka hawa ka tod dega shaakh ko
phool banne ki tamannaa mein kali rah jaayegi
khatm ho jaayega jis din bhi tumhaara intizaar
ghar ke darwaaze pe dastak cheekhti rah jaayegi
kya khabar thi aayega ik roz aisa waqt bhi
meri goyaai tira munh dekhti rah jaayegi
waqt-e-rukhsat aayega aur khatm hoga ye safar
mere dil ki baat mere dil mein hi rah jaayegi
जब मिरे होंटों पे मेरी तिश्नगी रह जाएगी
तेरी आँखों में भी थोड़ी सी नमी रह जाएगी
सर-फिरा झोंका हवा का तोड़ देगा शाख़ को
फूल बनने की तमन्ना में कली रह जाएगी
ख़त्म हो जाएगा जिस दिन भी तुम्हारा इंतिज़ार
घर के दरवाज़े पे दस्तक चीख़ती रह जाएगी
क्या ख़बर थी आएगा इक रोज़ ऐसा वक़्त भी
मेरी गोयाई तिरा मुँह देखती रह जाएगी
वक़्त-ए-रुख़्सत आएगा और ख़त्म होगा ये सफ़र
मेरे दिल की बात मेरे दिल में ही रह जाएगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahir Faraz
our suggestion based on Tahir Faraz
As you were reading Rose Shayari Shayari