jo shajar be-libaas rahte hain
un ke saaye udaas rahte hain
chand lamhaat ki khushi ke liye
log barson udaas rahte hain
ittifaqan jo hans liye the kabhi
intiqaamn udaas rahte hain
meri palkein hain aur ashk tire
ped dariya ke paas rahte hain
un ke baare mein sochie taahir
jo musalsal udaas rahte hain
जो शजर बे-लिबास रहते हैं
उन के साए उदास रहते हैं
चंद लम्हात की ख़ुशी के लिए
लोग बरसों उदास रहते हैं
इत्तिफ़ाक़न जो हँस लिए थे कभी
इंतिक़ामन उदास रहते हैं
मेरी पलकें हैं और अश्क तिरे
पेड़ दरिया के पास रहते हैं
उन के बारे में सोचिए 'ताहिर'
जो मुसलसल उदास रहते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahir Faraz
our suggestion based on Tahir Faraz
As you were reading Aadmi Shayari Shayari