mere labon pe usi aadmi ki pyaas na ho | मिरे लबों पे उसी आदमी की प्यास न हो

  - Tahir Faraz

mere labon pe usi aadmi ki pyaas na ho
jo chahta hai mere saamne gilaas na ho

ye tishnagi to mili hai hamein viraasat mein
hamaare vaaste dariya koi udaas na ho

tamaam din ke dukhon ka hisaab karna hai
main chahta hoon koi mere aas-paas na ho

mujhe bhi dukh hai khata ho gaya nishaana tira
kamaan kheench main haazir hoon tu udaas na ho

ghazal hi rah gai taahir-'faraz apne liye
jahaan mein koi aisa bhi be-asaas na ho

मिरे लबों पे उसी आदमी की प्यास न हो
जो चाहता है मिरे सामने गिलास न हो

ये तिश्नगी तो मिली है हमें विरासत में
हमारे वास्ते दरिया कोई उदास न हो

तमाम दिन के दुखों का हिसाब करना है
मैं चाहता हूँ कोई मेरे आस-पास न हो

मुझे भी दुख है ख़ता हो गया निशाना तिरा
कमान खींच मैं हाज़िर हूँ तू उदास न हो

ग़ज़ल ही रह गई ताहिर-'फ़राज़' अपने लिए
जहाँ में कोई ऐसा भी बे-असास न हो

  - Tahir Faraz

Khafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahir Faraz

As you were reading Shayari by Tahir Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Tahir Faraz

Similar Moods

As you were reading Khafa Shayari Shayari