meri manzilen kahi aur hain mera raasta koi aur hai | मिरी मंज़िलें कहीं और हैं मिरा रास्ता कोई और है

  - Tahir Faraz

meri manzilen kahi aur hain mera raasta koi aur hai
hato raah se meri khizr-ji mera rehnuma koi aur hai

ye ajeeb mantiq-e-ishq hai magar is mein kuchh bhi na ban pade
mere dil mein yaad kisi ki hai mujhe bhoolta koi aur hai

meri jumbishein meri laghzishein mere bas mein hongi na theen na hain
main qayaam karta hoon zehan mein mujhe sochta koi aur hai

tire husn tere jamaal ka main deewana yun hi nahin hua
hai mujhe khabar tire roop mein ye chhupa hua koi aur hai

nahin mujh ko tujh se koi gila hai alag tarah mera silsila
ki tire khuda kai aur hain to mera khuda koi aur hai

मिरी मंज़िलें कहीं और हैं मिरा रास्ता कोई और है
हटो राह से मिरी ख़िज़्र-जी मिरा रहनुमा कोई और है

ये अजीब मंतिक़-ए-इश्क़ है मगर इस में कुछ भी न बन पड़े
मिरे दिल में याद किसी की है मुझे भूलता कोई और है

मिरी जुम्बिशें मिरी लग़्ज़िशें मिरे बस में होंगी न थीं न हैं
मैं क़याम करता हूँ ज़ेहन में मुझे सोचता कोई और है

तिरे हुस्न तेरे जमाल का मैं दिवाना यूँ ही नहीं हुआ
है मुझे ख़बर तिरे रूप में ये छुपा हुआ कोई और है

नहीं मुझ को तुझ से कोई गिला है अलग तरह मिरा सिलसिला
कि तिरे ख़ुदा कई और हैं तो मिरा ख़ुदा कोई और है

  - Tahir Faraz

Aashiq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahir Faraz

As you were reading Shayari by Tahir Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Tahir Faraz

Similar Moods

As you were reading Aashiq Shayari Shayari