waqt karta hai khud-kushi mujh mein | वक़्त करता है ख़ुद-कुशी मुझ में

  - Tahir Faraz

waqt karta hai khud-kushi mujh mein
lamha lamha hai zindagi mujh mein

sone waali samaa'ato jaago
khaamoshi bolne lagi mujh mein

shukriya ai jalane waale tera
door tak ab hai raushni mujh mein

roz apna hi khoon peeta hoon
aisi kab thi darindagi mujh mein

is naye daur mein na kho jaaye
ye jo baaki hai saadgi mujh mein

she'r mera tha daad us ko mili
shakhsiyat ki kami jo thi mujh mein

jaanta hoon main apne qaateel ko
roz karta hai khud-kushi mujh mein

she'r kehna nahin hai sahal faraaz
ye wadi'at hai qudrati mujh mein

वक़्त करता है ख़ुद-कुशी मुझ में
लम्हा लम्हा है ज़िंदगी मुझ में

सोने वाली समाअतो जागो
ख़ामुशी बोलने लगी मुझ में

शुक्रिया ऐ जलाने वाले तेरा
दूर तक अब है रौशनी मुझ में

रोज़ अपना ही ख़ून पीता हूँ
ऐसी कब थी दरिंदगी मुझ में

इस नए दौर में न खो जाए
ये जो बाक़ी है सादगी मुझ में

शे'र मेरा था दाद उस को मिली
शख़्सियत की कमी जो थी मुझ में

जानता हूँ मैं अपने क़ातिल को
रोज़ करता है ख़ुद-कुशी मुझ में

शे'र कहना नहीं है सहल 'फ़राज़'
ये वदीअत है क़ुदरती मुझ में

  - Tahir Faraz

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahir Faraz

As you were reading Shayari by Tahir Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Tahir Faraz

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari