sukoon-e-dil mein vo ban ke jab intishaar utara to main ne dekha | सुकून-ए-दिल में वो बन के जब इंतिशार उतरा तो मैं ने देखा

  - Tahir Faraz

sukoon-e-dil mein vo ban ke jab intishaar utara to main ne dekha
na dekhta par lahu mein vo baar baar utara to main ne dekha

na aansuon hi mein vo chamak thi na dil ki dhadkan mein vo kasak thi
sehar ke hote hi nashsha-e-hijr-e-yaar utara to main ne dekha

udaas aankhon se tak raha tha mujhe vo chhoota hua kinaara
shikasta kashti se jab main dariya ke paar utara to main ne dekha

jo barf aankhon mein jam chuki thi vo dheere dheere pighal rahi thi
jab aaine mein vo mera aaina-daar utara to main ne dekha

the jitne wahm-o-gumaan vo sab nayi haqeeqat mein dhal chuke the
ik aadmi par kalaam-e-parwardigaar utara to main ne dekha

na jaane kab se sisak raha tha qareeb aate jhijak raha tha
makaan ki dahleez se vo jab ashk-baar utara to main ne dekha

khayal-e-jaanaan tiri badaulat faraaz hai kitna khoobsurat
dimaagh-o-dil se haqeeqaton ka ghubaar utara to main ne dekha

सुकून-ए-दिल में वो बन के जब इंतिशार उतरा तो मैं ने देखा
न देखता पर लहू में वो बार बार उतरा तो मैं ने देखा

न आँसुओं ही में वो चमक थी न दिल की धड़कन में वो कसक थी
सहर के होते ही नश्शा-ए-हिज्र-ए-यार उतरा तो मैं ने देखा

उदास आँखों से तक रहा था मुझे वो छूटा हुआ किनारा
शिकस्ता कश्ती से जब मैं दरिया के पार उतरा तो मैं ने देखा

जो बर्फ़ आँखों में जम चुकी थी वो धीरे धीरे पिघल रही थी
जब आइने में वो मेरा आईना-दार उतरा तो मैं ने देखा

थे जितने वहम-ओ-गुमान वो सब नई हक़ीक़त में ढल चुके थे
इक आदमी पर कलाम-ए-परवरदिगार उतरा तो मैं ने देखा

न जाने कब से सिसक रहा था क़रीब आते झिजक रहा था
मकाँ की दहलीज़ से वो जब अश्क-बार उतरा तो मैं ने देखा

ख़याल-ए-जानाँ तिरी बदौलत 'फ़राज़' है कितना ख़ूबसूरत
दिमाग़-ओ-दिल से हक़ीक़तों का ग़ुबार उतरा तो मैं ने देखा

  - Tahir Faraz

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahir Faraz

As you were reading Shayari by Tahir Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Tahir Faraz

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari