ham duniya se jab tang aaya karte hain
apne saath ik shaam manaaya karte hain
suraj ke us jaanib basne waale log
akshar ham ko paas bulaaya karte hain
yoonhi khud se rootha karte hain pehle
der talak phir khud ko manaaya karte hain
chup rahte hain us ke saamne ja kar ham
yun us ko chakh yaad dilaayaa karte hain
neendon ke veeraan jazeera par har shab
khwaabon ka ik shehar basaaya karte hain
in khwaabon ki qeemat ham se pooch ki ham
in ke sahaare umr bitaya karte hain
ab to koi bhi door nahin to phir taimoor
ham khat kis ke naam likhaaya karte hain
हम दुनिया से जब तंग आया करते हैं
अपने साथ इक शाम मनाया करते हैं
सूरज के उस जानिब बसने वाले लोग
अक्सर हम को पास बुलाया करते हैं
यूँही ख़ुद से रूठा करते हैं पहले
देर तलक फिर ख़ुद को मनाया करते हैं
चुप रहते हैं उस के सामने जा कर हम
यूँ उस को चख याद दिलाया करते हैं
नींदों के वीरान जज़ीरे पर हर शब
ख़्वाबों का इक शहर बसाया करते हैं
इन ख़्वाबों की क़ीमत हम से पूछ कि हम
इन के सहारे उम्र बिताया करते हैं
अब तो कोई भी दूर नहीं तो फिर 'तैमूर'
हम ख़त किस के नाम लिखाया करते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taimur Hasan
our suggestion based on Taimur Hasan
As you were reading Aadmi Shayari Shayari