wafa ka zikr chhida tha ki raat beet gai | वफ़ा का ज़िक्र छिड़ा था कि रात बीत गई

  - Taimur Hasan

wafa ka zikr chhida tha ki raat beet gai
abhi to rang jama tha ki raat beet gai

meri taraf chali aati hai neend khwaab liye
abhi ye muzda suna tha ki raat beet gai

main raat zeest ka qissa sunaane baith gaya
abhi shuruat kiya tha ki raat beet gai

yahan to chaaron taraf ab talak andhera hai
kisi ne mujh se kaha tha ki raat beet gai

ye kya tilism ye pal bhar mein raat aa bhi gai
abhi to main ne suna tha ki raat beet gai

shab aaj ki vo mere naam karne waala hai
ye inkishaaf hua tha ki raat beet gai

naved-e-subh jo sab ko sunaata firta tha
vo mujh se pooch raha tha ki raat beet gai

uthe the haath dua ke liye ki raat kate
dua mein aisa bhi kya tha ki raat beet gai

khushi zaroor thi taimoor din nikalne ki
magar ye gham bhi siva tha ki raat beet gai

वफ़ा का ज़िक्र छिड़ा था कि रात बीत गई
अभी तो रंग जमा था कि रात बीत गई

मिरी तरफ़ चली आती है नींद ख़्वाब लिए
अभी ये मुज़्दा सुना था कि रात बीत गई

मैं रात ज़ीस्त का क़िस्सा सुनाने बैठ गया
अभी शुरूअ किया था कि रात बीत गई

यहाँ तो चारों तरफ़ अब तलक अंधेरा है
किसी ने मुझ से कहा था कि रात बीत गई

ये क्या तिलिस्म ये पल भर में रात आ भी गई
अभी तो मैं ने सुना था कि रात बीत गई

शब आज की वो मिरे नाम करने वाला है
ये इंकिशाफ़ हुआ था कि रात बीत गई

नवेद-ए-सुब्ह जो सब को सुनाता फिरता था
वो मुझ से पूछ रहा था कि रात बीत गई

उठे थे हाथ दुआ के लिए कि रात कटे
दुआ में ऐसा भी क्या था कि रात बीत गई

ख़ुशी ज़रूर थी 'तैमूर' दिन निकलने की
मगर ये ग़म भी सिवा था कि रात बीत गई

  - Taimur Hasan

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taimur Hasan

As you were reading Shayari by Taimur Hasan

Similar Writers

our suggestion based on Taimur Hasan

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari