tum koi is se tavakko na lagana mare dost
ye zamaana hai zamaana hai zamaana mere dost
saamne to ho tasavvur mein kahaani koi
ik haqeeqat se bada ek fasana mere dost
mere bete main tumhein dost samajhne laga hoon
tum bade ho ke mujhe duniya dikhaana mere dost
dekh saka bhi nahin mujh ko zaroorat bhi nahin
meri tasveer magar us ko dikhaana mere dost
kehne waale ne kaha dekh ke chehra mera
gham-e-khazaana hai ise sab se chhupaana mere dost
teri mehfil ke liye ba'is-e-barkat hoga
na-muradaan-e-mohabbat ko bulaana mere dost
tum ko maaloom to hai mujh pe jo guzri taimoor
pooch kar mujh se zaroori hai rulaana mere dost
तुम कोई इस से तवक़्क़ो' न लगाना मरे दोस्त
ये ज़माना है ज़माना है ज़माना मिरे दोस्त
सामने तो हो तसव्वुर में कहानी कोई
इक हक़ीक़त से बड़ा एक फ़साना मिरे दोस्त
मेरे बेटे मैं तुम्हें दोस्त समझने लगा हूँ
तुम बड़े हो के मुझे दुनिया दिखाना मिरे दोस्त
देख सकता भी नहीं मुझ को ज़रूरत भी नहीं
मेरी तस्वीर मगर उस को दिखाना मिरे दोस्त
कहने वाले ने कहा देख के चेहरा मेरा
ग़म-ए-ख़ज़ाना है इसे सब से छुपाना मिरे दोस्त
तेरी महफ़िल के लिए बा'इस-ए-बरकत होगा
ना-मुरादान-ए-मोहब्बत को बुलाना मिरे दोस्त
तुम को मालूम तो है मुझ पे जो गुज़री 'तैमूर'
पूछ कर मुझ से ज़रूरी है रुलाना मिरे दोस्त
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taimur Hasan
our suggestion based on Taimur Hasan
As you were reading Yaad Shayari Shayari