mera baatin mujhe har pal nayi duniya dikhaata hai | मिरा बातिन मुझे हर पल नई दुनिया दिखाता है

  - Taimur Hasan

mera baatin mujhe har pal nayi duniya dikhaata hai
kisi na-deeda manzil ka koi rasta dikhaata hai

khuda bhi zindagi deta hai bas ik raat ki ham ko
isee ik raat mein lekin khuda kya kya dikhaata hai

zara tum des ke is rehnuma ke kaam to dekho
shajar ko kaatta hai khwaab saaye ka dikhaata hai

bahut si khoobiyaan hain aaine mein maanta hoon main
magar ik aib hai kam-bakht mein chehra dikhaata hai

is aashob-e-zamaana ke liye main kya kahoon taimoor
ki har bikhra hua khud ko yahan simtaa dikhaata hai

मिरा बातिन मुझे हर पल नई दुनिया दिखाता है
किसी नादीदा मंज़िल का कोई रस्ता दिखाता है

ख़ुदा भी ज़िंदगी देता है बस इक रात की हम को
इसी इक रात में लेकिन ख़ुदा क्या क्या दिखाता है

ज़रा तुम देस के इस रहनुमा के काम तो देखो
शजर को काटता है ख़्वाब साए का दिखाता है

बहुत सी ख़ूबियाँ हैं आइने में मानता हूँ मैं
मगर इक ऐब है कम-बख़्त में चेहरा दिखाता है

इस आशोब-ए-ज़माना के लिए मैं क्या कहूँ 'तैमूर'
कि हर बिखरा हुआ ख़ुद को यहाँ सिमटा दिखाता है

  - Taimur Hasan

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taimur Hasan

As you were reading Shayari by Taimur Hasan

Similar Writers

our suggestion based on Taimur Hasan

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari