tujhe khabar hai tujhe sataata hoon is bina par | तुझे ख़बर है तुझे सताता हूँ इस बिना पर

  - Taimur Hasan

tujhe khabar hai tujhe sataata hoon is bina par
tu bolta hai to haz uthaata hoon is bina par

mera lahu meri aasteen par laga hua hai
main apna qaateel qaraar paata hoon is bina par

kabhi kabhi haal ke haqaaiq mujhe sataayein
main apne maazi mein rahne jaata hoon is bina par

vo apni aankhon se dekh kar mera ilm parkein
main apne bacchon ko sab bataata hoon is bina par

use banaya hai main ne ye kam nahin kisi se
charaagh suraj ko main dikhaata hoon is bina har

vo us mein rehta hai apna kirdaar dhoondhta hai
main har kahaani use sunaata hoon is bina par

mujhe khabar hai vo sar taa-pa shaay'ri hai taimoor
ghazal ka hissa use banata hoon is bina par

तुझे ख़बर है तुझे सताता हूँ इस बिना पर
तू बोलता है तो हज़ उठाता हूँ इस बिना पर

मिरा लहू मेरी आस्तीं पर लगा हुआ है
मैं अपना क़ातिल क़रार पाता हूँ इस बिना पर

कभी कभी हाल के हक़ाएक़ मुझे सताएँ
मैं अपने माज़ी में रहने जाता हूँ इस बिना पर

वो अपनी आँखों से देख कर मेरा इल्म परखें
मैं अपने बच्चों को सब बताता हूँ इस बिना पर

उसे बनाया है मैं ने ये कम नहीं किसी से
चराग़ सूरज को मैं दिखाता हूँ इस बिना हर

वो उस में रहता है अपना किरदार ढूँढता है
मैं हर कहानी उसे सुनाता हूँ इस बिना पर

मुझे ख़बर है वो सर ता-पा शाइ'री है 'तैमूर'
ग़ज़ल का हिस्सा उसे बनाता हूँ इस बिना पर

  - Taimur Hasan

Sooraj Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taimur Hasan

As you were reading Shayari by Taimur Hasan

Similar Writers

our suggestion based on Taimur Hasan

Similar Moods

As you were reading Sooraj Shayari Shayari