vo kam-sukhan na tha par baat soch kar karta | वो कम-सुख़न न था पर बात सोच कर करता - Taimur Hasan

vo kam-sukhan na tha par baat soch kar karta
yahi saleeqa use sab mein mo'tabar karta

na jaane kitni galat-fahmiyaan janam letiin
main asl baat se pahlu-tahi agar karta

main sochta hoon kahaan baat is qadar badhti
agar main tere ravayye se dar-guzar karta

mera adoo to tha ilm-ul-kalaam ka maahir
mere khilaaf zamaane ko bol kar karta

akela jang ladi jeet li to sab ne kaha
pahunchte ham bhi agar tu hamein khabar karta

meri bhi chaanv na hoti agar tumhaari tarah
main inhisaar buzurgon ke saaye par karta

safar mein hoti hai pehchaan kaun kaisa hai
ye aarzoo thi mere saath tu safar karta

gaye dinon mein ye maamool tha mera taimoor
ziyaada waqt main ik khwaab mein basar karta

वो कम-सुख़न न था पर बात सोच कर करता
यही सलीक़ा उसे सब में मो'तबर करता

न जाने कितनी ग़लत-फ़हमियाँ जनम लेतीं
मैं अस्ल बात से पहलू-तही अगर करता

मैं सोचता हूँ कहाँ बात इस क़दर बढ़ती
अगर मैं तेरे रवय्ये से दर-गुज़र करता

मिरा अदू तो था इल्म-उल-कलाम का माहिर
मिरे ख़िलाफ़ ज़माने को बोल कर करता

अकेले जंग लड़ी जीत ली तो सब ने कहा
पहुँचते हम भी अगर तू हमें ख़बर करता

मिरी भी छाँव न होती अगर तुम्हारी तरह
मैं इंहिसार बुज़ुर्गों के साए पर करता

सफ़र में होती है पहचान कौन कैसा है
ये आरज़ू थी मिरे साथ तू सफ़र करता

गए दिनों में ये मामूल था मिरा 'तैमूर'
ज़ियादा वक़्त मैं इक ख़्वाब में बसर करता

- Taimur Hasan
0 Likes

Hasrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taimur Hasan

As you were reading Shayari by Taimur Hasan

Similar Writers

our suggestion based on Taimur Hasan

Similar Moods

As you were reading Hasrat Shayari Shayari