ye log karte hain mansoob jo bayaan tujh se | ये लोग करते हैं मंसूब जो बयाँ तुझ से

  - Taimur Hasan

ye log karte hain mansoob jo bayaan tujh se
samjhte hain mujhe kar denge bad-gumaan tujh se

jahaan jahaan mujhe teri ana bachaana thi
shikast khaai hai main ne wahan wahan tujh se

mere shajar mujhe baazu hila ke ruksat kar
kahaan milenge bhala mujh ko meherbaan tujh se

khuda kare ki ho taabeer khwaab ki achhi
mila hoon raat main phoolon ke darmiyaan tujh se

judaaiyon ka sabab sirf ek tha taimoor
tavakkuat ziyaada theen jaan-e-jaan tujh se

ये लोग करते हैं मंसूब जो बयाँ तुझ से
समझते हैं मुझे कर देंगे बद-गुमाँ तुझ से

जहाँ जहाँ मुझे तेरी अना बचाना थी
शिकस्त खाई है मैं ने वहाँ वहाँ तुझ से

मिरे शजर मुझे बाज़ू हिला के रुख़्सत कर
कहाँ मिलेंगे भला मुझ को मेहरबाँ तुझ से

ख़ुदा करे कि हो ताबीर ख़्वाब की अच्छी
मिला हूँ रात मैं फूलों के दरमियाँ तुझ से

जुदाइयों का सबब सिर्फ़ एक था 'तैमूर'
तवक़्क़ुआत ज़ियादा थीं जान-ए-जाँ तुझ से

  - Taimur Hasan

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taimur Hasan

As you were reading Shayari by Taimur Hasan

Similar Writers

our suggestion based on Taimur Hasan

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari