mujh ko kahaaniyaan na suna shehar ko bacha | मुझ को कहानियाँ न सुना शहर को बचा

  - Taimur Hasan

mujh ko kahaaniyaan na suna shehar ko bacha
baaton se mera dil na lubha shehar ko bacha

mere tahaffuzaat hifazat se hain jude
mere tahaffuzaat mita shehar ko bacha

tu is liye hai shehar ka haakim ki shehar hai
us ki baqa mein teri baqa shehar ko bacha

tu jaag jaayega to sabhi jaag jaayenge
ai shehryaar jaag zara shehar ko bacha

tu chahta hai ghar tira mahfooz ho agar
phir sirf apna ghar na bacha shehar ko bacha

koi nahin bachaane ko aage badha huzoor
har ik ne doosre se kaha shehar ko bacha

lagta hai log ab na bacha paayenge ise
allah madad ko tu meri aa shehar ko bacha

taarikh-daar likkhega taimoor ye zaroor
ik shakhs tha jo kehta raha shehar ko bacha

मुझ को कहानियाँ न सुना शहर को बचा
बातों से मेरा दिल न लुभा शहर को बचा

मेरे तहफ़्फुज़ात हिफ़ाज़त से हैं जुड़े
मेरे तहफ़्फुज़ात मिटा शहर को बचा

तू इस लिए है शहर का हाकिम कि शहर है
उस की बक़ा में तेरी बक़ा शहर को बचा

तू जाग जाएगा तो सभी जाग जाएँगे
ऐ शहरयार जाग ज़रा शहर को बचा

तू चाहता है घर तिरा महफ़ूज़ हो अगर
फिर सिर्फ़ अपना घर न बचा शहर को बचा

कोई नहीं बचाने को आगे बढ़ा हुज़ूर
हर इक ने दूसरे से कहा शहर को बचा

लगता है लोग अब न बचा पाएँगे इसे
अल्लाह मदद को तू मिरी आ शहर को बचा

तारीख़-दान लिक्खेगा 'तैमूर' ये ज़रूर
इक शख़्स था जो कहता रहा शहर को बचा

  - Taimur Hasan

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taimur Hasan

As you were reading Shayari by Taimur Hasan

Similar Writers

our suggestion based on Taimur Hasan

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari