bahaar aane ki ummeed ke khumaar mein tha | बहार आने की उम्मीद के ख़ुमार में था - Taimur Hasan

bahaar aane ki ummeed ke khumaar mein tha
khizaan ke daur mein bhi mausam-e-bahaar mein tha

jise sunaane gaya tha main zindagi ki naveed
vo shakhs aakhiri hichki ke intizaar mein tha

sipaah-e-aql-o-khirad mujh pe humla-aavar thi
magar main ishq ke mazboot-tar hisaar mein tha

mera naseeb chamakta bhi kis tarah aakhir
mera sitaara kisi doosre madaar mein tha

utha ke haath dua maangna hi baaki hai
vagarna kar chuka sab kuch jo ikhtiyaar mein tha

use to is liye chhodaa tha vo nihtta hai
khabar na thi ki vo mauqe ke intizaar mein tha

vo kah raha tha mujhe naaz apne izz pe hai
ajab tarah ka ghuroor us ke inkisaar mein tha

बहार आने की उम्मीद के ख़ुमार में था
ख़िज़ाँ के दौर में भी मौसम-ए-बहार में था

जिसे सुनाने गया था मैं ज़िंदगी की नवीद
वो शख़्स आख़िरी हिचकी के इंतिज़ार में था

सिपाह-ए-अक़्ल-ओ-ख़िरद मुझ पे हमला-आवर थी
मगर मैं इश्क़ के मज़बूत-तर हिसार में था

मिरा नसीब चमकता भी किस तरह आख़िर
मिरा सितारा किसी दूसरे मदार में था

उठा के हाथ दुआ माँगना ही बाक़ी है
वगर्ना कर चुका सब कुछ जो इख़्तियार में था

उसे तो इस लिए छोड़ा था वो निहत्ता है
ख़बर न थी कि वो मौक़े के इंतिज़ार में था

वो कह रहा था मुझे नाज़ अपने इज्ज़ पे है
अजब तरह का ग़ुरूर उस के इंकिसार में था

- Taimur Hasan
0 Likes

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taimur Hasan

As you were reading Shayari by Taimur Hasan

Similar Writers

our suggestion based on Taimur Hasan

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari