main ne bakhsh di tiri kyun khata tujhe ilm hai | मैं ने बख़्श दी तिरी क्यूँ ख़ता तुझे इल्म है

  - Taimur Hasan

main ne bakhsh di tiri kyun khata tujhe ilm hai
tujhe di hai kitni kaddi saza tujhe ilm hai

main samajhta tha tu hai apne husn se be-khabar
tiri ik ada ne bata diya tujhe ilm hai

mujhe zindagi ke qareeb le gai justuju
mari justuju bhala kaun tha tujhe ilm hai

main ne dil ki baat kabhi na ki tire saamne
mujhe umr bhar ye gumaan raha tujhe ilm hai

vo meri gali jo mere liye hui ajnabi
kabhi waan the sab mere aashna tujhe ilm hai

mera haal dekh ke poochne laga kya hua
main ne hans ke sirf yahi kaha tujhe ilm hai

koi baat hai ki kinaara-kash hoon jahaan se
kabhi mehfilon ki main jaan tha tujhe ilm hai

मैं ने बख़्श दी तिरी क्यूँ ख़ता तुझे इल्म है
तुझे दी है कितनी कड़ी सज़ा तुझे इल्म है

मैं समझता था तू है अपने हुस्न से बे-ख़बर
तिरी इक अदा ने बता दिया तुझे इल्म है

मुझे ज़िंदगी के क़रीब ले गई जुस्तुजू
मरी जुस्तुजू भला कौन था तुझे इल्म है

मैं ने दिल की बात कभी न की तिरे सामने
मुझे उम्र भर ये गुमाँ रहा तुझे इल्म है

वो मिरी गली जो मिरे लिए हुई अजनबी
कभी वाँ थे सब मिरे आश्ना तुझे इल्म है

मिरा हाल देख के पूछने लगा क्या हुआ
मैं ने हँस के सिर्फ़ यही कहा तुझे इल्म है

कोई बात है कि किनारा-कश हूँ जहान से
कभी महफ़िलों की मैं जान था तुझे इल्म है

  - Taimur Hasan

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taimur Hasan

As you were reading Shayari by Taimur Hasan

Similar Writers

our suggestion based on Taimur Hasan

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari